Type Here to Get Search Results !

Facebook Page Kya Hai aur Kaise Banaye Jate Hai (Full Jankari)

3

Hello dosto Hindi Blog Master me apka swagat hai. Aaj mai apke liye lekar aya ki facebook page kya hai. Isse kya fayde hai. Aur Facebook page kaise banate hai?
 Chaliye jante hai facebook page ke bare me? Janne se pahle apko btaa dun. Ki aap ye post pura padhe.

Facebook page ya facebook fan page kya hai?

Haa dosto jaise ki apne suna facebook Page ya facebook fan page.
Actually facebook page aur facecook fan page ek hi chiz hai.
       Yeh ek Public profile hai. Jo bussiness man apne bussiness ko badhane ke liye karte hai. facebool page par bade bade company apna product ka prachar karte hai.                     Chahe actor ho ya actress ya fir cricketor sabhi ke naam se facebook page bana hota hai. aur hum log apne apne favorite actor actress cricketor...etc ka page like karte hai aur hum log unke sampark me rahte hai.
Jis parkar aap ke personal
profile me aap ke friends
hote hai. Usi prakar
Facebook Page me Fans
hote hai.
Facebook page se fayda kya hai?
facebook profile se hum jyada se jyada 5000 friend hi bana sakte hai lekin facebook page se unginat friend se jur sakte hai jiske karan apke post ya photos ya videos par adhik like comment milenge.
Hume kisi chiz ki prachar karna ho ya share karna ho to hum facebook page ka use karte hai. Kyoki esme adhik log jure hote hai.
Agar aap teacher hai to apne coaching ke prachar kar sakte hai. Agar aap dukandar hai ya koi bussiness man to apne product ka prachar kar sakte hai. Agar aap kuchh nahi hain to aap apne photo par like badhane ke liye page bana sakte hain.
 Ab sawal ye hai ki facebook page kaise banaye?. To chaliye bina deri kiye huye.
Sikhte hai.                                

Facebook Page Kaise Banaye?    

Mai apko step by step bataunga.
 Agar apke pass facebook account nahi hai to sabse pahle facebook account bana le. Kyonki facebook page usi ka banta hai jiska facebook account hota hai.
Facebook account banane ke liyeyahan click kare

Step 1):- Agar aapne facebook account bana liya hai ya pahle se hai to sabse pahle aap apne browser( Uc mini, Uc browser, Opera mini, Opera browser, facebook lite, facebook app...etc)me log in kar le.

Note:-

(1)Agar aap opera mini, uc browser...etc se log in karna chahte hai to apko apne search box me facebook.com search kare Ya sidhe yahan click kare 

(2)Agar apne pahle se hi log in kiye hue hai to apko log in karne ki jarurat nahi parega.

Step 2):- Agar apne log in kar liya hai to ab apko apne facebook ke Menu par click karna hai. Jab menu khulega uske baad apko Page par click karna hai. Aap dekh sakte hai neche image me
Ab aap sasbe uper me Likhe huye "create page" par click kare.
click karne pa apke samne ek form page khulega jisme apko step by step details bharni hai.

Step 3):- Form khulene par
Isme sabse pahle "choose a  name of your page " par click karke aap apne page ka jo naam rakhna chahte hai wo bhare. Aur uske baad apko "Catogory" select karna ho catogory me aap jis chiz ke liye page banaye hai wo bhare  Aur "Get Start" par clich kare. Jaise ki image me dikhaya gaya hai.
Step 4):- Ab apke samne ess prakar page khulega jisme apko "Subcatogory" select karne ke liye kaha jayega

Note:- Hamne yaha par blog ke liye page banaya hai esliye maine person blog select ki hai. 

Step 5):- Sari details bharne ke baad "Get start" par click kar de.
Ab jo window khulenge usme sirf aap apne page ke bare me bhar de.
uske baad "Save info" par click kar de.

                Ab apka page bankar taiyar ho gaya hai .       Ab aap apne friend ko page like karne liye invite kare. Post dale.    page like badhaye  
         
Agar ye post apko achha laga to share jarur kare.
agar apko kisi bhi prakar ki koi samasya hua jaise ki post na samjhe ya fir aap facebook page nahi bana paye to mujhe comment me kah sakte hai . Hume umid hai ki apko ye post bahut achha laga hoga   thanks all readers.


Tags

Post a Comment

3 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

Disqus Shortname

barcelona-sora

Comments system

[blogger][disqus][facebook]